Wednesday 27 June 2012

Ajeeb shakhs tha har ek se piyar mangta tha

Ajeeb shakhs tha har ek se piyar mangta tha,
Jahan na dard ho aisa diyaar maangta tha.

Jo mangta tha woh dena meri bisaat na thi,
Woh meri rooh ka mujh se qarar mangta tha.

Usay gharz thi na gulon se na bulbulon se zara,
Woh fasl-e-ranj mein fasl-e-bahar mangta tha.

Usay talab thi ke koi toot kr usay chahay,
Woh haath jorr ke ulfat ka izhaar mangta tha.

Merey khuloos pe shayed tha shak usay,
Wafa ki rah mein woh aitbaar mangta tha.!