Friday 31 August 2012

Zakhm-e-Dil Ki Kahaani Kia Karuun ?

Zakhm-e-Dil Ki Kahaani Kia Karuun ?
Mein Teri Ik Ik Nishaani Kia Karuun ?

ZIndagi Ke Dard Boorha Kar Gaye
Aur Boorhaapay Mein Jawaani Kia Karuun ?

Tishnagi Meri Bujhaa Sakta Nahi
Ay Samandar Itna Paani Kia Karuun ?

Koi Bhi Rad-e-Amal Mafqood Hai
Itni Saari Raigaani Kia Karuun ?

Mein Tere Jazbon Ki Shiddat Ka Bayaan
Sirf Qaasid Ki Zabaani Kia Karuun ?
Read More...

Yehi Haalaat Ibtadaa Se Rahe

Yehi Haalaat Ibtadaa Se Rahe
Log Hum Se Khafaa Khafaa Se Rahe,

Bewafaa Tum kabhi Na Thay Lekin
Yeh Bhi Sach Hai K Bewafa Se Rahe,

In Chiraghun Mein Tel Hi kam Thaa
kiyon Gilaa Phir Hamen Hawaa Se Rahe,

Bahas, Shatranj Sher Mauseeqi
Tum Nahi Rahe To Yeh Dilaase Rahe,

Us K Bandon ko Dekh kar kehiye
Humko Umeed kiyaa Khudaa Se Rahe,

Zindagi ki Sharaab Maangate Ho
Hum ko Dekho K Pi K Piyaase Rahe.
Read More...

Milkar Juda Huey Tou Na Soya Karenge Hum

Milkar Juda Huey Tou Na Soya Karenge Hum
Ek Doosre Ki Yaad MeiN Roya Karenge Hum

aaNsoo Chalak Chalak Ke Sataayenge Raath Bhar
Moti Palak Palak MeiN Piroyaa Karenge Hum

Jab DooriyoN Ki Yaad DiloN Ko Jalaayegi
JismoN Ko Chaandni MeiN Bhigoya Karenge Hum

Ban Kar Ik Bazm Ka Mauzu-e-Guftugu
Jismon Ko Chaandni Mein Bhigoya Karain Ge Hum

Majbooriyon Ke Zeher Se Karlain Ge Khudkushi
Ye Buzdili Ka Jurm Bhee Goya Karain Ge Hum

Dil Jal Raha Hai Zard Shajar Dekh Dekh Kar
Ab Chaahaton Ke Beej Na Boya Karain Ge Hum

Gar De Gaya Daga HameN Toofan Bhi 'Qateel'
Sahil Pe KashtiyoN Ko Dooboya Karenge Hum
Read More...

Zamaney Bhar Ki Nigahon Mai Jo Khuda Saa Lagey,

Zamaney Bhar Ki Nigahon Mai Jo Khuda Saa Lagey,
Wo Ajnabi Hai Magar Mujh Ko Aashna Sa Lagey,

Na Janey Kab Meri Dunya Mai Muskuraaye Ga,
Wo Aik Shakhs,,, Jo Khawabon Mai Bhi Khafaa Sa Lagey,

Ajab Cheez Hai Yaaron Ye Manzilon Ki Hawas,
Ke Raahzan Bhi Musafir Ko Raahnuma Sa Lagey,

Dil-e-Tabah! Tera Mashwara Hai Kya Ke Mujhe,
Wo Phool Rung Sitaara Bhi Bewafa Sa Lagey,

Hoi Hai Jis Se Munnawar,, Her Ek Aankh Ki Jheel,
Wo Chaand Aaj Bhi ,,Mohsin Ko Kam Numa Sa Lagey
Read More...

Chup Na Rehtay Bayaan Ho Jaatay

Chup Na Rehtay Bayaan Ho Jaatay
Tujh Se Gar Badgumaan Ho Jaatay

Zabt-e-Gham Ne Bachaa Lia Warna
Hum Koi Daastaan Ho Jaatay

TU Ne Dekha Nahee Palat Ke Hamain
Warna Hum Meherbaan Ho Jaatay

Tere Qissay Mein Hum Bhala Khud Se
Kis Lye Badgumaan Ho Jaatay

Tere Dil Ki Zameen Hee Na Mili
Warna Hum Aasmaan Ho Jaatay
Read More...

Jazba-o-Shoq Ki Rawaani Mein


Jazba-o-Shoq Ki Rawaani Mein
Galti Ho Gayi Jawaani Mein

Zindagaani Tou Jaisay Doob Gayi
Hijr Aur Gham Ki Be-Karaani Mein

Jaanay Kia Keh Gaya Hai Ashkon Ko
Aag Si Lag Gayi Hai Paani Mein

Ik Din Dil Hawaas Kho Baitha
Ik Choti Si Naagihaani Mein

Tajziya Hee Nahe Kiya Os Ka
Umer Beeti Hai Khush-Gumaani Mein

Oski Aadat Se Mujhko Lagta Hai
Koi Lazzat Hai Bad-Gumaani Mein

Ik Kashish Si Ajeeb Hoti Hai
Ishq Ki Saltanat Ki Raani Mein

Wo Mujhe Dekh Kar Bohat Khush Hai
Dukh Ke Sooraj Ki Saayebaani Mein

Ik Mohabbat Hai Aur Judai Hai
Umer Ki Mukhtasir Kahani Mein
Read More...

Aansu`oon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne

----------------------Ahmed Faraz----------------------

Aansu`oon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne
Apni khabar Na Mili Kuch Aise khak Mein Milaya Us Ne,

Elzaam Mujh Pe Lagaaya Magar Bewafa khud Tha
Pehle Dewana Banaya Phir Mujhey Thukraya Us Ne,

Usko Mazaa Aata Hai Mujhko Sataane Mein
Mujhe Geeli Lakri ki Tarah Jalaya Us Ne,

Aaya Na Tha Us ko Wadaa Wafaa Karnaa
Logon ko Jhota Apni Wafa ka Qisa Sunaya Us Ne,

Tanhayon K Dard Se khoob Waqif Tha Woh "FARAZ"
Pher Bhi Dunya Mein Mujhe TANHA Baanaya Us Ne.
Read More...

Milkar Juda Huey Tou Na Soya Karenge Hum

Milkar Juda Huey Tou Na Soya Karenge Hum
Ek Doosre Ki Yaad MeiN Roya Karenge Hum

aaNsoo Chalak Chalak Ke Sataayenge Raath Bhar
Moti Palak Palak MeiN Piroyaa Karenge Hum

Jab DooriyoN Ki Yaad DiloN Ko Jalaayegi
JismoN Ko Chaandni MeiN Bhigoya Karenge Hum

Ban Kar Ik Bazm Ka Mauzu-e-Guftugu
Jismon Ko Chaandni Mein Bhigoya Karain Ge Hum

Majbooriyon Ke Zeher Se Karlain Ge Khudkushi
Ye Buzdili Ka Jurm Bhee Goya Karain Ge Hum

Dil Jal Raha Hai Zard Shajar Dekh Dekh Kar
Ab Chaahaton Ke Beej Na Boya Karain Ge Hum

Gar De Gaya Daga HameN Toofan Bhi 'Qateel'
Sahil Pe KashtiyoN Ko Dooboya Karenge Hum
Read More...

Khayaal-o-Khwaab Ke Manzar Sajaana Chahta Hai

Khayaal-o-Khwaab Ke Manzar Sajaana Chahta Hai
Ye Dil Jeenay Ka Ik Taaza Bahana Chahta Hai

Roshnion Ke Saaray Manzar Jhootay Lagtay Hain
Laikin Oski aankh Ke aansuu Sachay Lagtay Hain

Ik Chaadar Sakhan Hee Bacha Kar Nikal Chalain
Rasta Milay Tou Sheher Se Baahir Nikal Chalain

Marqad-e-Ishq Pe ab aur Na Roya Jaaye
Raat Ka Pichla Peher Hai Chalo Soya Jaaye
Read More...

Itni Saadgii Se Barbaad Koi Ghair Nahi Kartaa...!

Tere Haalaat Se Toh Lagtaa Hai Tera Apna Tha Koi..

Itni Saadgii Se Barbaad Koi Ghair Nahi Kartaa...!
Read More...

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya

Kuch din to mera aks raha aaine pe naqsh
phir youn huwa ke khud mera chehra badal gaya

jab apnay apnay haal pay hum tum na reh sakay
to kiya huwa jo hum say zamana badal gaya

qadmon talay jo rait bichhi thi woh chal pari
us nay chhuraya haath to sehra badal gaya

koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi
jaatay hi aik shakhs kay, kiya kiya badal gaya

ik sarkhushi ki moj nay kaisa kiya kamal
wo bay-niaaz saara ka saara badal gaya

uth kar chala gaya koi waqfay kay darmiaan
parda utha to saara tamasha badal gaya

hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
baaton main apni baat ko kaisay badal gaya

kehne ko ik sehan main deewar hi bani
ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya

shayad wafa kay khel se uktaa gaya tha who
manzil kay paas aake jo rusta badal gaya

qayem kisi bhi haal pay dunya nahin rahi
taabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya

manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya

andar kay mosamon ki khabar us ko ho gayee
us no-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya

aankhon mein jitna ashk thay jugnoo say ban gaye
woh muskuraya or meri dunya badal gaya

apni gali main apna hi ghar dhoondhtay hain log
SARMAD yeh kon shehr ka naqsha badal gaya.
Read More...

Saturday 25 August 2012

Ek Kasak


Hal apna tmhe suna n ska
lafz hotho pe koi la n ska
wo nhi hu jo tm smjhti ho
ji to chaha bta du mgr bta n ska
drd apna chhupana chahta tha
tm se lekin kvi chhupa nhi ska
shayar hu ek ajnabi me v
sheyr likhta rha pr suna n ska
tm mere samne khadi thi
mai hi nzre jra utha n ska
Read More...

Ziiinda rahe tO biiicharne ka dar sa rahe ga.

chalO mOut se karte haiiin aaghaz e mOhabbat.!,

Ziiinda rahe tO biiicharne ka dar sa rahe ga.
Read More...

Friday 24 August 2012

Jese Jese Waqat Guzarta Jata Hai

Jese Jese Waqat Guzarta Jata Hai
Zakham Tumhare Hijar Ka Bharta Jata Hai

Kankar Pehnkne Walon Ko Kuch Ilm Nhi
Pani Main Ik Aks Bikharta Jata Hai

Dil Ki Gurbat Saray Ghar Main Phel Gai
Tasveeron Se Rang Utarta Jata Hai

Bujhti Ankh K Sa'aye Phalty Jaty Hain
Sham Ka Manzar Or Nikharta Jata Hai

"Mohsin" Is Ne Dil Ka Shaher Ujar Diya
Main Smjhta Tha Bakht Sawanarta Jata Hai......!!
Read More...

Suraag Bhi Na Milay Ajnabi Sadaa Ke Mujhe

Suraag Bhi Na Milay Ajnabi Sadaa Ke Mujhe
Ye Kon Chup Gaya Sehraon Mein Bula Ke Mujhe ?

Mein Os Ki Baaton Mein Gham Apna Bhool Jata Magar
Wo Shaks Ronay Laga Khud Hansa Hansa Ke Mujhe

Ose Yaqeen Ke Mein Jaan De Na Paon Ga
Mujhe Ye Khauf Ke Roye Ga Aazma Ke Mujhe

Jo Apnay Loogon Mein Meri Hansi Uraata Raha
Qareeb Aaya Tou Roya Galay Laga Ke Mujhe

Mein Apni Qabar Mein Mahu-e-Azaab Tha Laikin
Zamaana Khush Howa Deewaaron Pe Saja Ke Mujhe
Read More...

Yun Baitha Hun Dil Ke Daagh Se Khush

Yun Baitha Hun Dil Ke Daagh Se Khush
Jaisay Bacha Charaagh Se Khush

Jab Taaron Ki Shamain Jhilmilain
Saaqi Ne Kia Ayaagh Se Khush

Gham Chorh Gaya Jisay Jagaa Kar
Wo Dil Na Howa Faraagh Se Khush

Ab Naala-e-Dil Na Chairh Bulbul
Ye Baagh Hai Shor-e-Zaagh Se Khush

Ab Raas Hai Ka Kunj-e-Gham Hee “Nasir”
Ab Dil Nahi Sair-e-Baagh Se Khush
Read More...

Ek Chehra Jo Mere Khwaab Sajaa Deta Hai

Ek Chehra Jo Mere Khwaab Sajaa Deta Hai
Mujh Ko Mere Hee Khayaalon Mein Sadaa Deta Hai

Wo Mera Kon Hai Maloom Nahi Hai Laikin
Jub Bhi Milta Hai Tou Pehluu Mein Jagaa Deta Hai

Mein Jo Andar Se Kubhi Toot Ke Bikhruun
Wo Mujh Ko Thaamnay Ke Lye Haath Barha Deta Hai

Mein Jo Tanha Kubhi Chupkay Se Bhi Rona Chaahun
Tou Dil Ke Darwaazay Ki Zanjeer Hila Deta Hai

Os Ki Qurbat Mein Hai Kia Baat Na Jaanay “Mohsin”
Ek Lamhay Ke Lye Sadyon Ko Bhula Deta Hai
Read More...

Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak,

Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak,
Tamanna Ka Safar Jaari Hai Ab Tak,

Khayal-e-Zabt Aur Tark-e-Talluq,
Yehi Pathar Bohat Bhari Hai Ab Tak,

Akeli Chandni Raaton Main Dil Ko,
Sulag Uthney Ki Beemari Hai Ab Tak,

Abhi Pichley Dinon Jo Ham Pe Guzri,
Usi Rut Ka Nasha Taari Hai Ab Tak,

Main Hijrat Kar Tou Loon Chaman Se “Mohsin”
Par Parindon Se Meri Yaari Hai Ab Tak.......!!
Read More...

** hota jo koi apna to ham bhi khushyaan manatey"

** Guzar gayi ye Eid bhi gham-e- zindagi ki trha'

"wasi"

** hota jo koi apna to ham bhi khushyaan manatey"
Read More...

Main logoon se mulaqaton kay lamhey yaad rakhta hun,

Main logoon se mulaqaton kay lamhey yaad rakhta hun,

Main batain bhol bhi jaon tou lehjay yaad rakhta hun...

Sar-e-mehfil nigahein mujh pe jin logoon ki prti hain,

Nigahon kay hwaley se wo chehry yaad rakhta hun...

Zra sa hat kar chalta hun zamanayki riwayat se,

kay jin pe bojh main dalon wo kandhay yaad rakhta hun...!!
Read More...

Ek Bar Suno Kuch Aisa Hua

Ek Bar Suno Kuch Aisa Hua
Wo Mujko Mila
Me Usko Mila

Izhar Hua
Iqrar Hua

Wo Dost Bna
Me Yar hua

Use Ishq Bohat
Muje Pyar Bohat

Hm 2no me takrar bohat

Phr Kch Yun Hua.

Wo Chorh Gaya
Main Toot Gya

Phr Kch Yun Mile

Wo Tanha Tha
Me Akela Tha

Bs Hum Do The
Or Koi Na Tha

Wo Rone Laga
Me Bebas Raha

Na Pyar Na Hi Izhar Raha

Bs Farq Sirf Itna Sa Raha

WO MITTI K UPAR ROTA RAHA
MAIN MITTI K ANDAR SOTA RAHA
Ek bar suno kuch aisa hua.
Read More...

Tm Ko Malom B Shayd Ye Kabi Ho K Na Ho

Tm Ko Malom B Shayd Ye Kabi Ho K Na Ho

Meri Raten Teri Yadon Se Saji Rehti Hain
Meri Sansen Teri Khusbu Me Basi Rehti Hain

Meri Ankhon Me Tera Sapna Saja Rehta Hy
Haan Mre Dil Me Tera Aks Basa Rehta Hy

Is Trha Mre Dil K Boht Pas Ho Tum
TmKo Malom B Shayd Ye Kbi Ho K Na Ho

Mre Aangan Me Lage Phol Gwahi DenGy
MeNe Arse Se Ksi Phol Ko Deka B Nhi

TujKo Socha Hy To Phr TujKo Hi Socha Hy Faqat
Tre Siwa Ksi Or Ko Socha B Nhi.
Read More...

Wednesday 22 August 2012

dil ka rog tha na yadein or na hi ye hijar
wo bachpan ki eidain bhi kamaal ki thi!!
Read More...

Monday 13 August 2012

Qayamat Toot Parrti Hai, zara Se Hoont Hilane Pe,

Na jaane Kya Hashr hoga, Ke Jab woh Muskuraye Ga...!♥
Read More...

HalanKe Mohabt Kuch b nhi!

Alfaz k Jhote Bandhn me,

Akash k Gehre Prdon me,

Hr Shakhs Mohabt krta ha,

HalanKe Mohabt Kuch b nhi!

Sb Jhote Rishte Natay hen,

Sb Dil Rakhny ki Baten hen,

Kb Kon Kisi ka Hota ha!

Sb Asli Roop Chupaty hen,

Ehsas se Khali log Yahan,

Lafzon k Teer Chalaty hen!

Ik Bar Nazar me aa k wo,

Phr Sari Umr Rulaty hen!

Ye ishq o Mohabt, Mehr o Wafa

Ye Sb Kehne ki Batain hen!

hr Shakhs Khudi ki Masti me,

bs Apni Khatir Jeeta ha
Read More...

Friday 10 August 2012

Dukh Kam Nahi Hotay , Roshni Bujhaanay Say . . !

Kyun Udaas Baithay Ho , Is Tarhan Andhairy Main . . 

Dukh Kam Nahi Hotay , Roshni Bujhaanay Say . . !
Read More...

Mohabbat Jan Lewa Hai...!!!

Mohabbat Jan Lewa Hai...!!!
"hum Mohabbat karney waley bhi kitney masoom hotey hian..4 din apney mehbob ko apni nazron se ojhal rakh ker aur us sey koi baat ya rabta na karkey yeh samjhney lagtey hian k hum usey bhulaney main kamyab hojaye 
gai...jabkey haqiqat tu yeh hai ke sadioun ojhal rehney k bad bhi mehbob ki pehli jhalak hamain thek usi muqam per dhakeel deti hia jahan se hum ne tark-e-mulaqat ki ibteada ki hoti hia...sach hia ke Mohabbat se koi farar mumkin he nahi...shayad Mohabbat bhi mout ka dosra naam hai...Mohabbat Jan Lewa Hai." :(
Read More...

Shidat-e-Mausam To Jaan Liye Jaa Raha Hai . . !

Deedar-e-Yaar Ka Koi Bahana Dhoondho . . . 

Shidat-e-Mausam To Jaan Liye Jaa Raha Hai . . !
Read More...

Aalam-e-Hijr Mein Soya Hun, Na Sona Chaahun

Aalam-e-Hijr Mein Soya Hun, Na Sona Chaahun
Mein Teri Zaat Se Mayoos Na Hona Chaahun

Gul Tere Dil Mein Khilain Aur Mehek Jaon Mein
Isi Rishtay Mein Har Insaan Ko Pirona Chaahun

Kiun Ganwaara Ho Tere Dard Mein Bhee Shirkat-e-Gair
TU Jo Yaad Aaye Tou Tanhaayi Mein Rona Chaahun

Justuju Ke Lye Rehta Hai Bahaana Darkaar
Kho Ke Paaya Jisay, Paakar Ose Khona Chaahun

Chaah Raha Hai Mere Andar Gham-e-Anjaam Ka Abar
Khush Bhee Hota Hun Tou Aankhon Ko Bhigona Chaahun

Mein Hun Ik Tarfa Bhikaari, Koi Meri Bhee Suno
Raat Ke Farsh Pe Kirnon Ka Bichona Chaahun

Yun Tou Ik Phool Ki Patti Se Behel Jaata Hun
Mein Machal Jaon Tou Sehra Ka Khilona Chaahun

Mera Mansab Nahee Paighambar-e-Fun Bannay Ka
Mein Tou Ahsaas Ko Lafzon Mein Samona Chaahun

Is Zamaanay Ka Ajab Tarz-e-Tassawaf Hai
Ke Mein Qatray Mein Samandar Ko Dubona Chaahun
Read More...

Kal Tujey Dekh kay Yaad Aya Hay..!!

Jab Teri Dhunn Mein Jiya Kartey Thay..!!
Hum Bhi Chup Chaap Phira Kartey Thay..!!

Aankh Mein Piyaas Howa Karti Thi..!!
Dil Mein Tofaan Utha Kartey Thay...!!

Logg Aatey Thay Ghazal Sunney Ko..!!
Hum Terii Baat Kiya Kartey Thay ..!!

Sach Samajhtey Thay Teray Wadoon Ko..!!
Raat Din Ghar Mein Raha Kartey Thay...!!

Kisi Veeranay Mein Tujsey Milkar..!!
Dil Mein Kiaa Phool Khila Kartey Thay..!!

Ghar Ki Dewaar Sajanay Kay Leye..!!
Hum Teraa Naam Likha Kartey Thay..!!

Woh Bhi Kia Din Thay Bhulaa Kar Tujhko..!!
Hum Tujhey Yaad Kiya Kartey Thay..!!

Jab Teray Dard mein Dil Dukhta Tha...!!
Hum Teray Haq Mein Dua Kartey Thay...!!

Bujhnay Lagta Jo Chehra Tera..!!
Daagh Seenay Mein Jala Kartey Thay..!!

Apnay Jazboon Ki Kamandon Say Tujey..!!
Hum Bhi Taskheer Kiya Kartey Thay..!!

Apnay Aansoo Bhi Sitaroon Ki Tarah..!!
Teray Hontoon Pay Saja Kartey Thay..!!

Chairta Tha Ghum-e-Duniya Jab Bhi..!!
Hum Teray Ghum Say Gilla Kartey Thay..!!

Kal Tujey Dekh kay Yaad Aya Hay..!!
Hum Sukh'noor Bhi Howa Kartey Thay...!!
Read More...

Sunday 5 August 2012

Humarii Mohabbat Ki Qaid Main Zamanat Nahi hoti

Soch Kar Rakhnaa Humari Saltanat Main Qadamm   

Humarii Mohabbat Ki Qaid Main Zamanat Nahi hoti

Read More...

Ik aag ka darya hai

Zakhm pe zakhm kha ke ji
Apne lahoo ke ghont pi
Aah na kar labon ko si
Ishq hai dillagi nahin

Dil laga kar pata chaley ga tumhein
Aashiqui dillagi nahin hoti

Kuch khel nahin hai ishq ki laag
Paani na samajh ye aag hai aag

Khoon rulaye gi ye lagi dil ki
Khel samjho na dillagi dil ki

Yeh ishq nahin aasaan
Bas itna samajh leejay
Ik aag ka darya hai
Aur doob ke jaana hai
Read More...

Main Dunya Bhool jata Hoon ..!!!

Nazar jab Tum se Milti hai,
Main khud ko Bhool jatahoon.!
Bas ek dharkan dharakti hai,
Main khud ko Bhool jatahoon.!
Tumhain Milne se pehle Main
bohat banta sanwarta hoon,,
Mager jab Tum sanwarti ho,
Main khud ko Bhool jatahoon.!
Main akser sochta rehtahoon,
kia hai ye sab .. ??,
Too batain Mujhe se kerti hai,
Main sab kuch Bhool jatahoon.!
Main apni Zaat Main khud-dar hoon'
khoya sa rehtahoon,,
Mager jab Teri chori khanaktihai,
Main khud ko Bhool jatahoon.!
Too gum hoti hai socho mein'
Main takta hi rehta hoon,,
Jo Too pehlo badalti hai,
main khud ko bhool jata hoon.!
Main akser kitabon pe
Tera Naam likhta hoon,,
Mager kuch Too jo likhti hai,
Main khud ko bhool jatahoon.!
Main aksar Tum sy kehta hoon,
"Mujhy Tum sy MOHABBAT hai".!
Magar jab Tum ye kehti ho,
Main Dunya Bhool jata Hoon ..!!!
Read More...

chaha aik Pyaar ko, pr woh b faraib tha'...!!!!

'Dard ki seyahi se likha ye mera naseeb tha, 

Bik gayi meri Mohabbat kyun k Mein ghareeb tha, 

Pal bhar ko to hum b na sanbhal paaye thy, 

Guzra hai jo hum pr wo hadsa b ajeeb tha,

Tamam umar Zindagi samajh kar jis se chaha,

Akhri safar mein na wo Dil k qareeb tha,

Khushiyan bantita raha Mein sb se zindagi ki,

Ab gham k andheron mein na koi shareek tha,

Dil, Duniya, Devta sb patthar k hai,

chaha aik Pyaar ko, pr woh b faraib tha'...!!!!
Read More...

Agar kisi ko meri maut se khushi mil jaye to kya baat hai....

Kitabo ke panne palat ke sochta hoon
yu palat jaye meri zindagi to kya baat hai, 
Khwabo me jo milta hai roz wo hakeekat me aaye to kya baat hai,
Kuch log hai jo matlab ke liye dhoondte hai mujhko,
Bin matlab jo aaye to kya baat hai,
Katal
 kar ke to sab le jayenge dil mera,
Koi baaton se le jaaye to kya baat hai,
Jo shareefo ki sharafat me baat na ho,
ek sharabi keh jaye to kya baat hai,
Apne rehne tak to khushi dunga sab ko,
Agar kisi ko meri maut se khushi mil jaye to kya baat hai....
Read More...

Bas Dard Dete Raha Karo "Mohabbat" Bharti Jaye gi.!

Hm Ney Kab Manga Hai Tm Say Apni Wafaon Ka Sila,
Bas Dard Dete Raha Karo "Mohabbat" Bharti Jaye gi.!
Read More...

Ik yehi faisla nahi hota subah honey tak.!

So jaaoun kay teri yaAd main kho jaOo ?,
Ik yehi faisla nahi hota subah honey tak.!
Read More...

Dunya Waly diwano ko or boht kuch kehty hn.!

Aik Hammay "Aawara" kehna koi Bda ILzaam Nahi,
Dunya Waly diwano  ko or boht kuch kehty hn.!
Read More...

Tujhe Taqdeer Badalni Hogi Mujhe pane k Liye

Main Tere Naseeb Ki Barish Nahin Jo Tujh Pe Baras jaoon
Tujhe Taqdeer Badalni Hogi Mujhe pane k Liye 
Read More...

Friday 3 August 2012

wo tabib nazar nahi aata...!!!


wo tabib nazar nahi aata...!!!

azeeyatnaak shamme hain
jhoolaste din k saaye me..!!


bohot khaufnaak aahen hain
muskurate dard k paaye me..!!


qatal ker do qatal ker do
hame aazaad ker do na..!!


qeeston me dun ghootne se
ye marr jana hi behtarr hai..!!


humara dil sehamta hai
humara dumm atakta hai..!!


humari jaan leti hai
besukuni wo raaton ki..!!


dilon me aag lagti hai
zehan nakaam rehta hai...!!


muddaton se yahan ek jungg jaari hai
darmiyan-e-zindagi me paane aur gawane ki..!!


aqal me kuch nahi aata
charaag-e-ummeed bujhta chala jata..!!


bade arse guzar gaye
ye aankhen taras gayi..
ke jo ker sake ilaaj
wo tabib nazar nahi aata...!!!
Read More...

Per tum dhoond lo HUM jaisa itna aasan ye b nahi.....!!!

Koi mill jaye tum jaisa ye na mumkin hai,

Per tum dhoond lo HUM jaisa itna aasan ye b nahi.....!!!
Read More...

Wednesday 1 August 2012

Agar parindon se wafa chaheay to aasmaan mein urna seekh

Parinday hawaon se wafa kertay hain zameen se nahi 
"IQBAL"
Agar parindon se wafa chaheay to aasmaan mein urna seekh! 
.
Read More...

Zara per nikal ain to apna hi Aashyana bhool jatay hain.

Na rakh Umeed-E-Wafa kisi parindy se 
"WASI"
Zara per nikal ain to apna hi Aashyana bhool jatay hain.
Read More...

Jo apne hotay hain woh khud hi loat aatay hain.

Urtay hovay parindon ko koi qaid nahi ker sakta 
"FARAZ"
Jo apne hotay hain woh khud hi loat aatay hain.
Read More...