Saturday 30 June 2012

Bewafai karo to Rote hai,wafa karo to rulate hai.

Ajab tamasha hai mitti se bane Logo ka
Bewafai karo to Rote hai,wafa karo to rulate hai.
Read More...

Har Cheez Mere Yaar Batane Ki Nahin Hoti...

Naqsh Meri Aankh Se Parhne Ka Hunar Seekh,
Har Cheez Mere Yaar Batane Ki Nahin Hoti...
Read More...

Parr Jafaaaon ney tumhari, yeh bharam tor diya .!

Yeh to such ha ke hmain tm se Mohabbat thi kvi,
Parr Jafaaaon ney tumhari, yeh bharam tor diya  .!
Read More...

K tm kon hote ho mere khwaab main aany waly. !

Kash wo neend se jaagy to mujh se larnay Aaye,
K tm kon hote ho mere khwaab main aany waly.  !
Read More...

Jb tmhri yad aati hai andhery or v gehry ho jaty hain !

Iss raat ki udaasiyoun se pocho hamaary dil ki halat,
Jb tmhri yad aati hai andhery or v gehry ho jaty hain  !
Read More...

Friday 29 June 2012

Bahuut beychain lagte ho..koi to raazz ab bi hay...!


Wohi Sochain...
wohi batain...
wohi andaaz ab b hai........
Bahuut beychain lagte ho..koi to raazz ab bi hay...!
Read More...

Ajeeb Dil Hai ke Aksar UDAAS Rehta Hai.

Ajeeb Hum Hain ke khushiyan Saj aye Phirte Hain 

Ajeeb Dil Hai ke Aksar UDAAS Rehta Hai.

 

Read More...

Wednesday 27 June 2012

Bari Tabdiliyaan laaye hain Apnay ap main Lakin,

Bari Tabdiliyaan laaye hain Apnay ap main Lakin,
Tumhy bs yaad Krne ki wo Aadat ab b baqi hai.!
Read More...

Wo Aankhain kar rahi hain jo Baras janay ki Taiyaari,

Wo Aankhain kar rahi hain jo Baras janay ki Taiyaari,
Koi unn ko to Batla dey abhi Saawan Nahi Aaya..!
Read More...

Kisi ki yaaad main itna udaas naa hua karr

Kisi ki yaaad main itna udaas naa hua karr,
Log Naseeb se miltay hn udasiyon se nhi.!
Read More...

Sab kuch luta diya faqat tujh pe bharosa kar k,

Sab kuch luta diya faqat tujh pe bharosa kar k,
Janey kyun bohot roye ham aysa kar kay.

Yun meri be-basi pey muskuraney waley,
Kiya mila tujh ko mere dukh mein ezafa kar k.

Kya kabhi tu ne bhi mujh se mohbbat ki thi?
Puchh zara khud ko Aainy mein dekh  ke.

Kash tu mere dard mein hamdard bana hota,
Wasi,
Tu ne to chor diya mujh ko tmasha kr k.!
Read More...

Ajeeb shakhs tha har ek se piyar mangta tha

Ajeeb shakhs tha har ek se piyar mangta tha,
Jahan na dard ho aisa diyaar maangta tha.

Jo mangta tha woh dena meri bisaat na thi,
Woh meri rooh ka mujh se qarar mangta tha.

Usay gharz thi na gulon se na bulbulon se zara,
Woh fasl-e-ranj mein fasl-e-bahar mangta tha.

Usay talab thi ke koi toot kr usay chahay,
Woh haath jorr ke ulfat ka izhaar mangta tha.

Merey khuloos pe shayed tha shak usay,
Wafa ki rah mein woh aitbaar mangta tha.!
Read More...

Tum mujhe rooh mein basa lo to acha hai

Tum mujhe rooh mein basa le to achcha hai
ye dil-o-jaan ke rishte aksar toot jate hain...........
Read More...

Tuesday 26 June 2012

Ajeeb rishta raha kuch is tarah apno se,

Ajeeb rishta raha kuch is tarah apno se,
Na nafrat ki waja mili na mohabbat ka silah..
Read More...

Naseeb Aazmaane Ke Din Aa Rahe Hain

Naseeb Aazmaane Ke Din Aa Rahe Hain
Qareeb Un Ke Aane Ke Din Aa Rahe Hain
Jo Dil Se Kaha Hai Jo Dil Se Suna Hai
Sab Un Ko Sunane Ke Din Aa Rahe Hain
Abhi Se Dil-O-Jaan Sar-E-Raah Rakh Do
Ke Lutne Lutaane Ke Din Aa Rahe Hain
Tapakne Lagi Un Nigaahon Se Masti
Nigahain Churaane Ke Din Aa Rahe Hain
Saba Phir Hamain Puuchti Phir Rahi Hai
Chaman Ko Sajaane Ke Din Aa Rahe Hain
Chalo “SARMAD” Phir Se Kahin Dil Lagain
Suna Hai Thikaane Ke Din Aa Rahe Hain
Read More...

Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo

Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo
Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo
Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hy
Anjam ka jo ho khatra aghaz badal dalo
Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye
Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo
Dushman k iradon ko hy zahir agar karna
Tum khel wohi khelo andaz badal dalo
Ay dost karo himat kuch door sawera hy
Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo….
Read More...

Jin ke angan mein Ameeri ka shajar lagta hai

Jin ke angan mein Ameeri ka shajar lagta hai,
Un ka her aaib bhi zamany ko hunar lagta hai…
(Shajar:Tree)(Aaib:Weakness)
Read More...

Tamam Neendain Girvi Hain Uss ke Pas

Tamam Neendain Girvi Hain Uss ke Pas,
Zara Se Muhabbat Li Thi Jiss Se..
Read More...
Maine apne dil se pucha kis se darte ho?
Usne muhabbat ka anjaam likh ke bheja.
Read More...

Wo meri Fikar mai Dooba hai Itni raat Dhale

Wo meri Fikar mai Dooba hai Itni raat Dhale
Har ek Chiragh se Keh do Ke us ke saath Jale
Read More...

Mujhe pura bharosa tha main usko rok paounga

Mujhe pura bharosa tha main usko rok paounga
Meri ummeed ka qaatil hai, wo ek lafz "KHUDA HAFIZ"
Read More...

woh dekho lo woh samandar khushk hone ...

woh dekho lo woh samandar khushk hone lagaa
jissein tha daawaan meri pyass bhujanein ka.
Read More...

Mohabbat k baad Mohabbat Mumkin ha Faraz

Mohabbat k baad Mohabbat Mumkin ha Faraz,
Par Toot kay chahna Sirf ek baaar hota ha...!
Read More...

Bikhar jaany se pehle hi

Bikhar jaany se pehle hi
sambhal kr dekh lete hain
chalo hum v hawa ki simt
chal kr dekh lete hain
Read More...

Nahi Masroof Main Itna K ...

Nahi Masroof Main Itna K Waha ka Rasta Bhool Jaaon,
Koi jab Muntazir hi Naa ho, To Jaana Acha nahi Lagta.!
Read More...

Monday 25 June 2012

Tumhare pass nahin to phir kis ke pass hai ?

Woh toot’ta Huwa dil akhir Gaya Kahan.???
Read More...
MuSkuRanE sE bHi hOta hai baYan GhamE Dil 

MujhE rOnE ki bHi aDat hO yeH zarOOri tO naHi
Read More...
Sirf Dil Dao Pe Lgaya Tha.!
Tum Ne To Jan Hi Le Li.. !!
Read More...
Shayari Jhoot Sahi, Ishq Fasana Hi Sahi,
Zinda Rehne Ky Liye Koi Bahana Hi Sahi.
Read More...
Apno Ki Chahaton Main Milawat Thi Is Qadar....


Tang Aaa K Dushmano Ko Mana'nay Chalay Gaye. !
Read More...
Mujh Say Pathar Ye Keh Kar Bachnay Lgay


Tum Na Sudhro Gay Thokreen Kha Kar B..!!
Read More...
MuSkuRanE sE bHi hOta hai baYan GhamE Dil ♥

MujhE rOnE ki bHi aDat hO yeH zarOOri tO naHi ♥
Read More...

"Nafrat ko hazaar mauke do

"Nafrat ko hazaar mauke do
ki wo mohabbat ban jae" Lekin....
"Mohabbat ko ek bhi mauka na do
k wo nafrat ban jae''
Read More...

Sunday 24 June 2012

Mohabbat Aaazmani ho to bus itna hi kaafi ha

Mohabbat Aaazmani ho to bus itna hi kaafi ha,
Zara sa rooth kar dekho manany kon aata ha.!
Read More...

Aadha Chaand Aur Pura Dukh..

Aadha Chaand Aur Pura Dukh..!

Jab say tum bichray ho,
Tab say,
Aadha Chand agar dekhoon to,
Meri Aaankhain bhar Aati hain..!
Read More...

Meri Be Loss Mohabbat Ne Duboya hai Mujhe

Meri Be Loss Mohabbat Ne Duboya hai Mujhe,
Itna Mukhlis hu ke har Dil Me utar jata hun.!
Read More...

Tum nhi ghm nhi.....................by narindar kapoor


Read More...

khuda ka shukar hai...........


Read More...

Aaj usnay ik aur dard dia tu ehsaas hua

Aaj usnay ik aur dard dia tu ehsaas hua .......
Humnay bhi to duaa'o mein us k saray gham mangay thay

Read More...

Saturday 23 June 2012

Ye MuhaBbat Ka Bandhan Bhi Kitna Ajeeb Hota Hai

Ye MuhaBbat Ka Bandhan Bhi Kitna Ajeeb Hota Hai ..........

Mil Jayn To Baatain Lambi Bichar Jayn to Yaadain Lambi '.......
Read More...

Ajeeb halat hote hain is Muhabbat mein..

Ajeeb halat hote hain is Muhabbat mein Dil ke,
Udaas jab bhi Yaar ho Qasoor apna lagta hai..
Read More...

Khud hi chorr gaye hain tou chalo acha hua..

Khud hi chorr gaye hain tou chalo acha hua,
Itne ehbaab kahan hum se sambhaley jatey..
(ehbaab;relatives)
Read More...

Raah-e-Muhabbat Ki Tum Baat Na Pucho

Es Raah-e-Muhabbat Ki Tum Baat Na Pucho,
Anmol Jo InSaan They, Be-Mol Bik Gaye…
Read More...

Mein usko manaa leta tou acha tha..

Wafaa ki laaj mein usko manaa leta tou acha tha,
Anaa ki jang mein aksar judaayi jeet jaati hai..
Read More...

Funny shayri

Mard Hone Chahiye, Khatoon Hona Chahiye,
Ab Grammer Ka Yehi Kanoon Hona Chahiye,
Nursery Ka Daakhla Bhi Ab Sar’sari Mat Janiye,
Aap Ke Bache Ko Aflaatoon Hona Chahiye,
Raat Ko Bache Parhayi Ki Aziyat Se Bache,
In Ko TV Ka Bohat Mamnoon Hona Chahiye,
Doston English Zaroori Hai Hamare Wastey,
Fail Honey Ko Bhi Koi Mazmoon Hona Chahiye,
Sirf Mehnat Kya Hai Anwar Kamyaabi Ke Liye,
Koi Ooper Se Bhi Telephone Hona Chahiye..
Read More...
Muhabat kya hai do lafzon main tumhe batata hoon,
Tera majboor kar dena aur mera majboor ho jaana..
Read More...

Parveen Shakir

Sheher ko teri justaju hai bohat,
In dinon hum pe guftagu hai bohat,
Jab se parvaaz ke shareek miley,
Ghar bananey ki aarzoo hai bohat,
Dard reh reh ke sar uthaata hai,
Kabhi kam ho gaya, Kabhi hai bohat,
Kuch tou woh yaad bhi bohat aya,
Kuch in ankhon mein bhi lahu hai bohat,
Peeney wali aankh hai darkaar,
Aankh ko chaand ka sabuu hai bohat..
Read More...

Meri Yaad Bhi Kabhi Tujhe To Aani Hai

Bichar Kay Bhi Mujhe Tum Sa Ya Badgumaani Hai
Ka Meri Yaad Bhi Kabhi Tujhe To Aani Hai
Na Pooch Haal Kisi Bhi Udaas Chahray Ka
Har Aik Shakhs Ki Apni Kahani Hai
Har Aik Shahkhs Ko Apna Bana K Dekh Lia
Milain Gay Ab Na Kisi Sa Ya Dil Ma Thaani Hai
Shajar Udaas Hain Chirioon K Chah-chahay Gum Sum
Kah Teray Baad Ya Tanhaa Si Zindagaani Hai
Na Dosti Hai Sehar Sa Na Dushmani Shab Sa
Youn Hi Ya Zindagi Ab To Husan Nibhaani Hai
Read More...

Un dino, Jab tum they yahan.

Un dino,
Jab tum they yahan,
Andhere dekhkar tumko jagmagate they,
Murjhaaye huae phool bhi,
Pal bhar mai khil jate they,
Bhanron ki shararat tum se thi,
Rangon mai rang ghul jate the,
Un dino,
Jab chand raaton mai pura sa dikhayi deta tha,
Jhilmilate taaron ke labon par,
Naam tumhara rehta tha,
Bahon ko phelaye raaste,
Bas tumko bulaya karte they,
Manzil ka pata wo khud chalkar,
Tumko bataya karte they,
Un dino,
Jab meri ghazalon ko,
Tere geeton ki sargam milti thi,
Jab mere dil ki ganga se,
Tere dil ki yamuna milti thi,
Hawaon ka aana jana tha,
Teri zulfon ki dehleezon par,
Aanchal mai chupakar rakhti thin,
Tum ghanghoor ghataon ko,
Na koi kami jeewan mai thi,
Jab tum meri bahon mai they,
Un dino,
Jab ke tum the yahan…
Read More...

Meri Chaahat Ka Mukhtasar Mausam

Meri Chaahat Ka Mukhtasar Mausam,
Rizq Ki Justuju Mein Beet Gayaa..
Read More...

Sad ghazal

Usay maine hi likha tha
K lehjey barf ho jayein
Tou phir pighla nahi kartey
Parinday dar k urr jayin
Tou phir lota nahi kartay
Usay maine hi likha tha
Yaqeen uth jaye tu shayed
Kabhi wapis nahi aata
Hawaon ka koi toofaan
Kabhi barish nahi lata
Usay maine hi likha tha
K sheesha toot jaye tou
Kabhi phir jurr nahi pata
Jo rastey se bhatak jaye
Woh wapas murr nahi pata
Usay kehna woh be`maani adhoora khat
Usay maine hi likha tha
Usay kehna k deewanay
Mukammal khat nahi likhtay…
Read More...
Dekha palat k us ne k hasrat use bhi thi
Hum jis pe mitt gae the mohabbat use bhi thi
Chup ho gya tha dekh kar wo bhi idhr udhar
Dunya se meri tarha shikayat usay bhi thi
Ye soch kar andhere ko galay se laga liye
Raaton ko jaagne ki aadat usay bhi thi
Wo ro dia tha mujh ko pareshaan dekh kar
Us din khula k meri zaroorat usay bhi thi
Read More...
Main Logo Se Mulaqato’ Ke
Lamhy Yaad Rakhta Hoon
Main Bate Bhul Bhi jaon
To Lehje Yaad Rakhta Hoon
Sar-e-Mehfil Nigahen Mujh Pe
Jin Logo’n Ki Parti Hai
Nigaho’n ke Hawaly Se
Wo Chehra Yaad Rakhta Hoon
Zara Sa Hut ke Chalta Hoon
Zamany Ki Riwa’yat Se
K Jin Pe Bojh Main Daalo’n
Wo Kaandhy Yaad Rakhta Hoon
Read More...
Teri Palkoon main rukna hai Raat bhar kay liye,
Main to ek khuwab hu subha ko chala jaon ga.!
Read More...

Friday 22 June 2012

Phir ghalat fehmiyon mein daal dia.

Muskurana"koi zaruri tha...??
Read More...
Bicharne ki aziyat ko, Agr tum janna chaho..?
To kuch pal ko, Zara sans apni rok lena..
Tumhain mehsoos ye hoga…
K....
Bicharna “MOAT” jesa hai....
Read More...
Sirf Fursat Main Hi Na Yadd Kiya Karoo Mujhy ,
Main Tanha Zarurr Hun Per Fazuuul Nahiii ......
Read More...
Bohat Haara Huwa wajud lagta Hai Ab Apna
Har kisi Ne Luta Hai Mohabbat ka Hawala De kar.
Read More...
Wajood apna, Na Rooh apni
Bas ik tamasha ye zest thehri,
Na dil-lagi men sakoon paya,
Na aashqi men qarar paya,
Na wasl lamhey hi raas aaye,
Na firaq hi hum guzar paye,
Ajab ye chahat k marhaley hen,
Na jeet paye, Na haar paye,
Na hi yadoon ki dhunnd utri,
Na dil k daman ko jhaar paye,
Na aankhein khawabon ko dhoond paa'een,
Na khawab aankhon ko dhoond paye,
Bas ik tamasha ye zest thehri,
Wajood apna, Na rooh apni.
Read More...
~Wafa Ki Aarzoo Karna!
~Safar Ki Justujoo Karna!

~Jo Tum Mayoos Ho Jao!
~To RAB Se Guftugoo Karna!

~Ye Aksar Ho Bhi Jata Hy!
~K Koi Kho Bhi Jata Hy .Rbbta Rakkho!

~Me Ye Daave Se kehta Hun!
~Kabhi Nakaam Na Hogy!

~ISHQE HAQIQI Ko Samajh Jao!
~Kabhi Badnaam Na Hoge!~kabhi barbad na hoge
Read More...
Bachpan Ke Dukh Bhi Kitne Achchay Hotey They
Tab To Sirf Khiloney Toota Karte They

Woh Khushi Bhi Janey Kaisi Khushi Thi
Titlee Ke Par Noch Kay Oochla Karte They

Paon Mar Ke Khud Barish Ke Paani Mein
Apni Nao Aap Dobuyaa Kartey They

Ab Socho To Chot Si Parti Hay Dil Par
Aap Bana Ke Aap Gharondey Tora Karte They

Ab To ek Aansoo'n Bhi Ruswa Kar Jati Hai
Bachpan Main To Jee Bhar Ke Ro Liya Karte They.......!
Read More...
Apne hathon se kahin mera naam likh dena..
Tum dua mat mangna sirf dua likh dena...
Is qadar zamane ne kar diya badnam mujh ko...
Zinda rahon tu jeene ki saza likh dena...
Main rothe hoye dost ko manao kaise...
Rothne wale ye meri khata likh dena...
Juda ho k tujh se jee len ge..
In makhmali hathon se apni ek ada likh dena..
Tum kehte they tere bin jee na sake ge...
Akele kaise jee rhe ho zara wjha likh dena..
Read More...
Na jaane aaKhir in aansuon pe kyaa guzrii ?
jo dil se aankh tak aaye, magar bahaa na sake
Read More...
Qurban Ho Jaun Us Shakhs K Hathon Ki Lakeeron Par,
Jis Ne Tujhe Manga Bi Nahi aur Tujhe Apna Bana Liya.!
Read More...
Khuda ne isliyi nahi likha use mere muqaddar me
K saary jahan ki khushyan ek shaks ko kese de deta
Read More...

Thursday 21 June 2012

Mujhy na Dhond Zameen-o-Asman ki grdisho me,
Main Agar terey dil Main Nahi toh kahin bhi nahi..!

Read More...

Wednesday 20 June 2012

Apne siwa bataao! kuch mila hai tumhein? Faraz ?
Hazaar baar lein hain tum ne mere dil ki talashiyaan
Read More...
Mili saza jo mujhe wo kisi khata pe na thi faraz
Mujh pe jurm jo saabit howa wo wafaa ka tha
Read More...
Ungliyan aaj bhi is soch me ghum hai faraz
Usnay kaisay naye haath ko thaama hoga
Read More...
Qurbaton men bhi judai ke zamane maNge
Dil vo bemehar ki rone ke bahane maNge
Apana ye hal ke ji har chuke luT bhi chuke
Aur muhabbat vahi andaz purane maNge
Ham na hote to kisi aur ke charche hote
Khalqat-e-shahar to kahane ko fasane maNge
Dil kisi hal pe mane hi nahin jan-e-`Faraz`
Mil gaye tum bhi to kya aur na jane maNge
Read More...
Kaat Kar Zuban Meri Keh Raha Tha Wo FARAZ,
Ab Tumhe Ejazat hai Hal-e-Dil Sunane Ki.
Read More...
Usey Taraash K Heera Bana Diya Hum Ne Faraz,
Magar Ab Ye Sochte Hain USey KHaridain Kaise ..!!
Read More...
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Makan Hai Tera Kuch Yu Khayal kar.
Read More...
Ab Nend Se Kaho Hum Se Sulah Kar Le Faraz,
Wo Dour Chala Gaya Hai Jis K Lie Hum Jaga Karty Thy.
Read More...
Kahin Tanha Na Kar De Tujhe Munfrid Rehne Ka Shoq Faraz,
Jub Din Dhale Tu Kisi Se Haal-e-Dil Keh Dia Kar.
Read More...
tujhy fursat hi na milli parhny ki faraz
hum tery sheher main bikty rahy kitabon ki tarha
Read More...
Usne mujh chor dia to kia hua Faraz
Mane bhi to chora tha sara jahan us k liye
Read More...
Taash ke patton ki manind hai zindagi apni
Jis ne bhi khela taqseem kar dia
Read More...
Tu kisi aur ke liye hoga samander-e-ishq
hum to rooz tery sahil se piyasy guzar jaty hain
Read More...
Ab maayos q ho us ki bewafai pe Faraz?
tm khud hi to kehty thy k wo sab se juda hai
Read More...
Labon pe hansi ankhon main sawal rakhta tha
is zarf main itna kamal rakhta tha
kia khaber thi mujhy hi bhool jae ga
jo meri ik ik cheez sanbhal rakhta tha
suna hai log ab boht sataty hain usy
main jis ka itna khyal rakhta tha
Read More...
Hawa k doosh pe rakha hua chiragh tha wo
jo bujh gya to hawa se shikayat kesi
Read More...
Apni Nakaami ka EK Yeh Bhi Sabab Hai FaRaZ.
Cheez Jo Mangte Hain Sb Se Juda Mangte Hain.
Read More...
Dekha mujhe toh tarke taluk ke bawajood .
woh muskura diya yeh hunar bhi usi ka tha.,.
Read More...
Us Shaks Ko To Bichadeny Ka Saleka Nahi ” FARAZ”
Jatay Hoe Khud KO Mere Pass Chor Gaya .
Read More...
Na janE KaB Se Ho GayE ItNay ShiDDat PasaNd HaM ?
FArAz !
JaB Tak ZakhaM Na KhAyEn tAssalEE nAhi hoTi
Read More...
Phool Shaak Se Bichre To Kaheen Ka Nahi Rehta “Faraz”
Tum Khud Ko Juda Meri Zaat Se Soch K Karna………
Read More...
Dukh fasana nahi k tujh se kahain
Dil bhi mana nahi k tujh se kahain,
Ek tu harf aashna tha magar
Ab zamana nahi k tujh se kahain,
Ae khuda dard e dil hai bakhshish e dost
Aab o daanaa nahi k tujh se kahain
Be tarah haal e dil hai aur tujh se
Dostana nahi k tujh se kahain
Qasidaa hum faqeer logon ka
Ek thikana nahi k tujh se kahain
Ab to barson se us gali men FaRAZ
Aana jaana nahi k tujh se kahain
Read More...
Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho
Ae jaan-e-jahaaN ye koi tum saa hai ke tum ho
Yeh khwaab hai, khushboo hai, ke jhoNka hai, ke pal hai
Yeh dhuNd hai, baadal hai, ke saayaa hai, ke tum ho
Is deed ki sahAat main kaiye rang hain larzaaN
Mein hooN ke koi aur hai duniya hai ke tum ho
DekhO yeh kisi aur ki aankhAin hain ke meri
DekhooN yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho
Yeh umr-e-gurezaaN kahin tahre to yeh jaanooN
Har saaNs main mujh ko yeh lag ta hai ke tum ho
Har bazm main mauzoo-e-suKhan dil zadgaaN ka
Ab kaun hai Shireen hai ke Laila hai ke tum ho
Ik dard ka phaila huA sahara hai ke mein hooN
Ik mauj main aaya huAa dariya hai ke tum ho
Woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar bhi sochai
Is shehar main tanha koi hum sa hai ke tum ho
Aabaad hum aashufta sarOn se nahin maqtal
Yeh rasM abhi shehar main zinda hai ke tum ho
Ae jaan-e-’Faraz’ itni bhi taufeeq kise thi
Hum ko ghum-e-hasti bhi gawaara hai ke tum ho
Read More...
Shayari, aawargi, khushbu, wafaa, lazzat, sharaab
Mukhtalif shaklon main shehzaade ko aurat chahiye ..!
Read More...
Zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain
Jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain
Kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
Ab vahi log hamain abalapa kahte hain
Koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub
Ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain
Ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri
Gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain
Jab talak dur hai tu teri parastish kar lain
Ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain
Kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko ‘faraz’
Wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain
Read More...
Dunya mein mat dhoond naam-e- wafa
“faraz”
Dilon se khelte hein log bana ke humsafar apna….
Read More...
Tu Meraa Pehla Piyar Sajan
Tu Dilbar Tu Dildaar Sajan,
Tu Phoolon Ki Mehkaar Sajan
Tu Gull Tu Hi Gulzaar Sajan,
Tu Qudrat Ka Shahkaar Sajan
Mukh Tera Hai Gulbahar Sajan,
Tu Jaan-e-Jigar Tu Jaan-e-Gazal
Tu Khushiyon Ka Deedaar Sajan,
Soorat Teri Bholi Bhaali
Hain Laal Haseen Rukhsaar Sajan,
Dil Ki Baaten Tum Se Karna
Main Bhoola Hoon Har Baar Sajan,
Main Buzdil Hoon Main Pagal Hoon
Yeh Kehte Hain Sab Yaar Sajan,
Tere Nain Bane Talwaar-e-Piyar
Main Zakhmi Main Lachaar Sajan,
Na Tum Se Jis Din Baat Kare
Dil Rehta Hai Bezaar Sajan,
Jis Janib Bhi Ab Dekhon Main
Har Rasta Hai Pur Khaar Sajan,
Tum Bhi Maano Ek Baat Meri
Ab Chor Chalen Ghar Baar Sajan.
Read More...
Zulf Raaton C Hai Rangat Hai Ujaalon Jesi,
Par Tabiyat Hai Wohi Bhoolney Walon Jesi….
Dhoondta Phirta Hun Yun Logo’n men Shabahat Uski,
K “WO” Khawabo’n men Bhi Lagti Hai Khyaalon Jesi….
Uski Baatein Bhi DiL’aawez Hen Surat Ki Tarha,
Meri Sochein Bhi Preshan Mere Balon Jesi..
Uski “AANKHON” Ko Kabhi GhOr Se Dekha Hai “FARAZ”
Soney Walon Ki Tarha Jagney Walon jesi…
Read More...
Ankh se door na ho dil se utar jaye ga
waqt ka kiya hai guzarta hai guzar jaye ga
itna manoos na ho khalwat.e.gham se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhay ga tu dar jaye ga
tum sar-e-rah-e-wafa dekhtay reh jaoo gay
aur woh baam-e-rafaqat se uter jaye ga
dobtay dobtay kashti ko uchaala day don
mein nahin koi tu sahil pe uter jaye ga
zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka “faraz”
zalim ab ke bhi na roye ga tu mar jaye ga…!!!
Read More...
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain
Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain
Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain
Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain
Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain
Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain
Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain
Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain
Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain
Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain
Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain
Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain
Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain
Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain
Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain
Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain
Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain
Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan
Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain
Read More...
Hui Hai Shaam Tou aankhon mein Bas Gayaa Phir tu,
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tu,
Bohat Udaas Hai Ik ShaKhs Tere Jaane Se,
Jo Ho Sake Tou Chalaa aa Usii Kii Khaatir tu,
Merii Misaal Ke Ik NaKhl-e-Khushk-e-Saharaa Huu.N
Teraa Khayaal Ke ShaaKh-e-Chaman Kaa Taa_ir tu,
Mai.n Jaantaa Huu.N Ke Duniyaa Tujhe Badal Degii
Mai.n Maanataa Huun Ke aisaa Nahii.n Bazaahir tu,
Ha.Nsii Khushii Se bichhar Jaa agar BichhaDnaa hai
Ye Har Maqaam Pe Kyaa Sochtaa Hai aaKhir tu,?
‘Faraz’ Tune Use Mushkilon Mein Daal Diyaa
Zamaanaa Saahib-e-Zar aur Sirf Shaayar tu..
Read More...
Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai
Phir Se Dilon Ke Zakham Nikhartay Jaatay Hain
Jhooti Sachi Taabeeron Ki Khwaahish Hai
Kaisay Kaisay Khwaab Bikhartay Jaatay Hain
Kaisay Kaisay Yaaron Ka Behroop Khula
Kaisay Kaisay Khoul Utartay Jaatay Hain
In Haalon Kab Apnay Aap Ko Dekha Tha ?
Kehnay Ko Din Raat Guzartay Jaatay Hain
Raahgeeron Ki Khamooshi Ko Gour Se Sun,
Yun Hai Jaisay Maatam Kartay Jaatay Hain
Kubhi Kubhi Koi Aisa Musaafir Aata Hai
Rastay Apnay Aap Sanwartay Jaatay Hain
Sheher-e-Ghazal Ki Galyon Mein Dilgeer Tere
Tujh Se Teri Baatain Kartay Jaatay Hain
Read More...
Wo rootha rootha sa lagta hai,
Koi tarkeeb batao pass aane ki,
Main zindgi girvi rakh sakta hoon,
Tum keemat batao usey manane ki…
Read More...
Chaand Kay Saath Kayi Dard Puranay Niklay
Kitnay Ghum Thay Jo Teray Gham Kay Bahanay Niklay
Fasal E Gul Ayi, Phir Ik Baar, Aseeraan E Wafa
Apnay Hi Hoon Ma Nahanay Niklay
Hijar Ki Chout Ajab Sang E Shikam Hoti Hai
Dil Kay Bafaiz Zameenon Sa Hazanay Niklay
Dil Na Ek Eent Sa Tameer Kia Taajmahal
Tou Na Ek Baat Kahi Laakh Fasanay Niklay
Dasht E Tanhai Hijraan Ma Khara Soochta Hn
Hai Kia Log Meray Lia Nibhaanay Niklay
Main Na Amjad Usay Bay Wasta Dekha Hi Nahe
Wo To Khushboo Bhi Ahat Kay Bahany Niklay
Read More...
Bichar Kay Bhi Mujhe Tum Sa Ya Badgumaani Hai
Ka Meri Yaad Bhi Kabhi Tujhe To Aani Hai
Na Pooch Haal Kisi Bhi Udaas Chahray Ka
Har Aik Shakhs Ki Apni Kahani Hai
Har Aik Shahkhs Ko Apna Bana K Dekh Lia
Milain Gay Ab Na Kisi Sa Ya Dil Ma Thaani Hai
Shajar Udaas Hain Chirioon K Chah-chahay Gum Sum
Kah Teray Baad Ya Tanhaa Si Zindagaani Hai
Na Dosti Hai Sehar Sa Na Dushmani Shab Sa
Youn Hi Ya Zindagi Ab To Husan Nibhaani Hai
Read More...

Tuesday 19 June 2012

Tm nhi ghm nhi sharab nhi
aisi tnhyi ka koi jawab nhi
kahe-kahe kise pdha kijye
dil se behtr koi kitab nhi
kis-kis ki maut aaye hai
aaj rukh pe koi naqab nhi
wo kram ungliyo pe ginte hai
julm ka unke kuch hisab nhi
tm nhi ghm nhi sharab nhi
aisi tnhayi ka koi jawab nhi
Read More...
hal apna tmhe suna n ska lfz honto pe koi la n ska
Wo nhi hu jo tm smjhti ho
Ji to chaha bata du mgr bta n ska
Drd apna chupana chahta tha tmse
Lekin kbhi chupa n ska
Shayar hu ek ajnbi me bhi
Sheyar likhta rha pr suna n ska
Tm mere samne khadi thi( ......)
Mai hi nazr jra uda n ska
Read More...
Mai agr jhut bolu to suli pe chda dena
Fitrat hai hasino ki dil le ke dga dena
prwane ko shamma se ummid-e-wafa kya ho?
hai kaam fakat unka jl-jl ke jla dena
Agr meri muhabbat me jra bhi kmi paoo
haq deta hu jo chhoho sja dena
Aahbab janaza mera jb leke kr niklnge
Tm aake janaze pe 2 ful chada dena
Jis khat se ho ruswai anjane muhabbat me
Mat rakhna kitabo me us khat ko jla dena
Jl-Jl ke akele me khud ko n jla dena
Agr meri jarurat ho to khidki se bula lena
jb chandni rato me tm chhat pe milo hmse
Peshani se julfo ko us waqt hta dena
EK bar chale aaoo tnhayee ke mausam me
Tm meri wafoo ka kuch bhi to sila dena
Mai jhut agr bolu to suli pe chada dena
Fitrat hai hasino ki dil le ke dga dena
Read More...
Dard ki harr ik hadd se ab guzar gaya hoon main,
phir kabhi na simtunga yu bikhar gaya hoon main,
Maut bas naheen aati rooh k nikalne se,
sans mujhme baqi hai phir bhi marr gaya hoon main.
Read More...
Hasino ke sbhi dilkash nazare chod aaye
khudaya hm to ab gunaoo ke irade chod aaye
zmane bhr se nfrt ke andhere ko hm mitane ko
muhabbt ke chrago ko jlake chod aaye
tmhe dekha tmhe jana tmhe socha tmhe chaha
tmhari chahto me sare rishte chod aaye
hmari yad bhi hr pl staygee tmhe janm
tmhare dil pe hm yado ke pahre chod aaye
pechida bate krte the hmesha jo zmane se
hm unke samne lfzo ke fnde chod aaye
Read More...
jo shailab bala utta to langar soch me hai
meri kashti ki halat pr samandr soch me hai
hr ek lamhe ki hairani pr haira hai jamana
ye duniya hogye hai kya brabr soch me hai
hr ek shakho se ptte jrd ho kr jhad chuke hai
ke bin mausam khaira aayee manzar soch me hai
ye kis rah pr hm log akhir chal rhe hai
kadam ko yuhi zkhami kr thokr soch me hai
kinare pr khi shazar duba hai safina
likha ke kya aaye hai muqkdr soch me hai
Read More...
Mujh me or tujh me ye silsila tha kbhi
Mera ghr tera rasta tha kbhi
Dil ki batoo ko likh kr kaghz pr
tmne mujh ko khat diya tha kbhi
Mod pr rukh bhi ja sako tm
itna mujh ko nhi pata tha kbhi
kitni chahat se tm ko dekha tha kbhi
tm ko ehasas bhi hua tha kbhi
maine koshish ki mang lu tm ko
tmne kuch bhi nhi kiya tha kbhi
Maho anjum pe "SARMAD" tha fida
Or falak ko niharta tha kbhi
Read More...
Muhabbat ke nashe me aakr maine use khuda bna dala
hosh tb aaya jb usne kaha ke khuda kisi ek ka nhi hota
Read More...
Bachpan ki wo amiri na jane kahan gyi?
Jb pani me hmare jahaz(ship) chla krte the
Read More...
dukh de kr sawal krte ho?
tm bhi "SARMAD" kamal krte ho
dekh kr puch liya hal mera
chlo kuch to khayal krte ho
shahere-e-Dil me ye udasiyan kaisi?
ye mujhse sawal krte ho
MAna chahe to mar nhi sakte
tm bhi jina muhal krte ho
Ab kis-kis ki mishal du tmko
ke hr sitam be-mishal krte ho
Read More...
wo khe ke chle gye ke itni mulakat bahut hai
maine kaha ki ruk jaoo abhi rat bahut hai
Aanshu mere thm jaye to shok se jana
aise me kaha jaongi barsat bahut hai?
wo kahene lagi mera jana bahut jaruri hai
nhi chahti dil todu tera mgr mjburi bahut hai
agr hui ho koi khta to maf kr dena
maine kaha ho jaoo chup itni bat bahut hai
samjh gya hu sb or kuch kaho jaruri nhi
Bs aaj ki rat ruk jaoo jana itna bhi jaruri nhi
Fir kabhi na aaunga tmhari jindgi me laut ke
sari jindgi ke tanhaye ke liye aaj ki rat bahut hat
Read More...
Dard kya hota hai batayein ge kisi roz
Kamal ki Ghazal tum ko sunayein ge kisi roz
Thi un ki zid k main jaaoun un ko manane
Mujh ko ye veham tha wo bulayein ge kisi roz
kabi maine to socha b nahi tha
Wo itna mere dil ko dukhayein ge kisi roz
Har roz Sheshay se yehi poochta hoon main
Kya rukh pe tabassum sajayein ge kisi roz
Urney do in parindon ko azaad fizaon mein
tmhara hu agar to lout aaoounga kisi roz
Apne sitam ko dekh lena khud hi Saqi tm
Zakham-e-jigar tamaam log dekhein ge kisi roz
Read More...
Tere bheege badan ki khusboo se
lehre bhi hui diwani si
Teri zulf ko chhookar aaj huyee,khamosh hawa diwani si
ye roop ka kundan dehka hua
ye zism ka chandan mehka hua
Ilzaam ne dena phir mujhko,
ho jaye agar naadani si,
Bikhra hua kajal aankhon me
Toofan ki hulchul sanson me
Ye narm labon ki khamoshi
Palko me chupi hairani si..
Tere bheege badan ki khusboo se......
Read More...
Aey Dil Tu Dharak Magar Itna To Zara Soch,
Tere Jazbat Aur Hain,Mere Halaat kuch Aur Hain.
Read More...
kon kis ke sath kitna mukhlis hai "SARMAD" ,
waqt sb ki aukaat bta deta hai
Read More...
Apni Aankhon Ko Nooch Dala Hai ,,,
Khuwab Aya Tha Phir Muhabbat Ka !!!
Read More...
Main Shaher-e-Gul Mein Zakham Ka Chehra Kise Dekhaon?
Shbnam Badast Log To Kaante Chubho Gaye,
Read More...
"Mujhay logoon nay Mehfil main hamesha Hunstay dekha hai ,

Meri Fitrat main Shamil hai apni Anaa ka Bharam rakhna "
Read More...
Shayad isi liye humein manzil na mil saki ..

Jitne bhi hum ko log mile rehbar mile
Read More...
ham ny to chupky sy ak ghulab pheja tha usy
khushbo ny sary shehr mein tamasha bana diya
Read More...
Wo jo ghairon ke wo aagosh hua karte the
Humne palkon pe bithaya to bura maan gaye...
Unki anaken barasti thi kisi saawan ki tarah
Humne ek baar rulaya to bura maan gaye...
Haal_e_dil apna sunaya to bura maan gaye..
Peyaar aankhon se jataya to bura maan gaye
.Hamne aaiena dikhaya to bura maan gaye.......,,
yu'n muskuraya to bura maan gaye...............,,,,
 unki har raat guzarti hai diwali ki tarah,,,,,,,,,..........
Hamne ek deep jalaya to bura maan gaye........
Read More...
Tanao Main JaB Aayen To DhaGy TooT Jaty Hain,

Zara Si Baat Par Daireena Rishty TooT Jaty Hain,

Tumhain Is Baat Par Hairat K TooTa Hai Humara DiL,

MuQaBiL JaB K Hon Pathar To SheeShy TooT Jaty Hain,

GuZrte WaQt Se CheeZain Purani Ho Hi Jati Hain,

DiLon Main MaiL Parti Hai To JaZbe TooT Jate Hain,

HaZaron Khwahishain TarteeB Pati Hain KhayaLon Main,

MaGar JaB AanKh KhuLti Hai To Sapny TooT Jaty Hain,

NaJane Kyun Tumhari Yaad Hai MuJhe Us Dam,

Mere AanGan Main BaiLon K Patty TooT Jaty Hain,

DuKhon Main To NikL Aate Hain AanKhon Se Zaheer AanSu,

KhuShi K MaoSmon Main Bhi Kinare TooT Jaty Hain…
Read More...