Saturday 14 July 2012

Aankhon ka rang baat ka lehja badal gaya,

Aankhon ka rang baat ka lehja badal gaya,
Wo shakhs ek shaam mein kitna badal gaya,

Kuch din to mera aks raha aine pe naqsh
Phir yu huwa k khud mera chehra badal gaya ,

Jab apne apne haal pe ham tum na reh sakay
To kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya ,

Qadmon talay jo rait bichi thi woh chal pari,
Us ne chhuraya haath to sehra badal gaya,

Koi ß cheez apni jagah par nahi rahi,
Jaatay hi ek shakhs k kya kya badal gaya,

Hairat se saaray lafz usay dekhtay rahay,
Baaton mein apni baat ko kaisay badal gaya,

Kehnay ko ik sehan main deewar hi bani
Ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya ,

Qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi
tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya,

Andar kay mosaamon ki khabar us ko ho gayee
Us no bahaar-e- naaz ka chehra badal gaya ,

Shayad wafa k khel se ukta gaya tha wo,
Manzil k pass aa k jo rasta badal gaya,

Ankhon main jitnay ashaq thay jugnoo say ban gaye
Woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gayee,

Apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log
Amjad yeh kon shehar ka naqsha badal gaya...