Monday 23 July 2012

apne hathon ki lakiron mein basale mujhko

apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
main hun tera nasib apna bana le mujhko

mujhse tu puchne aya hai wafa k mani
ye teri sada dili mar na dale mujhko

main samandar bhi hun moti bhi hun gotazan bhi
koi bhi nam mera le k bulale mujhko

tune dekha nahin aine se age kuch bhi
khudaparasti mein kahin tu na ganwale mujhko

kal ki bat aur hai main ab sa rahun ya na rahun
jitna ji chahe tera aj satale mujhko

khud ko main bant na dalun kahin daman-daman
kar diya tune agar mere hawale mujhko

main jo kanta hun to chal mujh se bachakar daman
main hun gar phul to jure mein sajale mujhko

main khule dar k kisi ghar ka hun saman pyare
tu dabe paon kabhi aa k churale mujhko

tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam
tu kabhi yad to kar bhulanewale mujhko

bada phir bada hai main zahar bhi pi jaun "Qateel"
shart ye hai koi bahon mein sambhale mujhko