Thursday 12 July 2012

Mere zarf ka ye kasoor tha, Main dard-e-Dil na chupa saki

Mere zarf ka ye kasoor tha, Main dard-e-Dil na chupa saki

Mere zarf ne bhi dagha diya, Main to zarf bhi na bacha saki!

Mera nafs ik alaƤow tha meri rooh tak ko nigal gya

Main khwahishon k is alaow ko na jala ski,na bujha ski

Jo deein doston ne aziyaten,thein wo dushmanoun ki inayaten

Main tamam umer dari rahi,koi dost phir na bana ski

Mujhe muflisi ne thaka diya,mere walwalon ko sula diya

Mujhe log ye keh kr judaa huay, ‘ye to kuch b na bana ski’!