Monday 22 April 2013

Mein Tou Insaan Ke Pekar Mein Khudaa Hee Dekhun

-----------------------Mohsin Naqvi-----------------------

So Bhi Jaon Tou Har Ek Khwaab Bura Hee Dekhun
Mein Kin Aankhon Se Dil-o-Jaa.n Ki Tabaahi Dekhun

Dil Ye Chaahay Ke Palat Jaon Khud Apne Ghar Ko
Jab Bhi Manzil Pe Bhataktay Howay Raahi Dekhun

TU Sehar Hai Tou Ufaq Se Koi Sooraj Bhi Nikaal
Mein Kahan Tak Tere Maathay Ki Siyaahi Dekhun

Jurm-e-Nakardah Gunaahi Ki Saza Ye Hai Ke Mein
Apni Sochon Ko Bhi Zanjeer Bapaa Hee Dekhun

Baar Haa Tark-e-Ta’lluq Pe Ye Socha Mein Ne
Tujh Ko Dhoondun, Teri Afsurdaah Nigaahi Dekhun

Wo Bhi Kia Shakhs Hai Khulta Hee Nahi Bhaid Os Ka
Jab Bhi Dekhun Ose Duniya Se Khafaa Hee Dekhun

Kis Se Poochun Mein Pataa Apne Puraanay Ghar Ka
Ajnabi Sheher Mein Har Shakhs Nayaa Hee Dekhun

Wusat-e-Dasht Ki Tanhaayi Se Dar Lagta Hai
Koi Rehro Nahi, Taqsh-e-Kaf-e-Paa Hee Dekhun

Mere Saathi Tou Meri Saf Se Alag Thehray Hain
Apne Haq Mein Kisi Dushman Ki Gawaahi Dekhun

Mere “Mohsin” Tera Mayaar-e-Nazar Kuch Bhi Sahee
Mein Tou Insaan Ke Pekar Mein Khudaa Hee Dekhun